baat niklegi to fir duur talak jaayegi

baat niklegi to fir duur talak jaayegi
log bevajha udasi ka sabab puchhenge
yae bhi puchhenge ke tum itni pareshhan kyun ho
ungliyaan uthegi sukhe huae baalon ki taraf
ek nazar dekhenge gujre huae saalon ki taraf
choodiyo par bhi kai tanz kiye jaayenge
kaampte haathhon pe bhi fikr-e-kas-e-jaayenge
log zaalim hai har ik baat ka taana denge
baaton baaton mei mera zikr bhi le aayenge (2)
unki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
varna chahere ke taasur se samaj jaayenge
chahe kuchh bhi ho sawaalaat na karna unse (2)
mere baare mei koi baat na karna unse
baat niklegi to duu…r talak jaayegi

Source

%d bloggers like this: