Ban gaya hai ye zindagi ab to
Tujh se badhkar hamein tera gham hai
– Jagjit Singh
[[Tum Hamare Nahin To Kya Gham Hai (Forget Me Not)]]
Ban gaya hai ye zindagi ab to
Tujh se badhkar hamein tera gham hai
– Jagjit Singh
[[Tum Hamare Nahin To Kya Gham Hai (Forget Me Not)]]
Door se zakhm har ik dil ka bhara lagta hai,
Paas aa kar koyi dekhe to pata lagta hai
Aaj Rootha huwa ek Dost bohot yaad aaya ……
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya. ….
Meri aankho ke har ek ashq pe rone wala …..
Aaj jab aankh yeh royi tu bohot yaad aaya. ….
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha …
Aaj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya…
Jo meri aankh main kajal ki tarha rehta tha …
Aaj kajal jo lagaya tu bohot yaad aaya…..
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi….
Aaj jab dil ne bulaya tu bohat yaad aaya….!!!!
(dead link) Source (http://www.sheroshayari.in/shayari/357-post11.html)
In the memory of Tragedy King (Rajinder Singh):
Badlo ke darmiyan kuch aisi saazish hui,
Mere ghar mitti ka tha mere hi ghar baarish hui
Falak ko zid hai jahan bizliyan girane ki
Hume bhi zid hai wahin aashiyan banane ki
Khuda kisi ko kisi par fidaa na kare,
Agar kare to Qyamat tak judaa na kare