Jab Tak Hai Jaan – The Poem

Jab Tak Hai Jaan – The Poem…
Teri aankhon ki namkeen mastiyaan
Teri hansi ki beparwah gustaakhiyaan
Teri zulfon ki lehraati angdaaiyaan
Nahin bhoolunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tera haath se haath chhodna
Tera saayon ka rukh modna
Tera palat ke phir na dekhna
Nahin maaf karunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Baarishon mein bedhadak tere naachne se
Baat Baat pe bewajah tere roothne se
Chhoti chhoti teri bachkaani badmaashiyon se
Mohabbat karunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

Tere jhoothe kasme vaadon se
Tere jalte sulagte khaabon se
Teri bereham duaaon se
Nafrat karunga main
Jab tak hai jaan, Jab tak hai jaan

– A Poem by Aditya Chopra

Letter

Letter from the girl who was marrying some1 else….for his future girlfriend….
Aaj apne pariwar k liye maine mera pyar kho diya..
Ye dard sehne k baad b logo ne mujhe bewafa keh diya…
Main khud ko maaf nhi kr paungi kbhi..
Ye use main smjha nhi paungi…
Tum jb aogi uski zindagi me..use sambhal lena..
bhool jaye wo mujhe use itna pyar dena…
Use meetha nhi pasand h khyal rkhna..
Sardiyon me aksar bimar ho jata h , dhyan rkhna…
Kbhi kbhi bhut gussa ho jata h..
Pyar se pucho to ro jata h..
Use gusse me kbhi gadi chalane mt dena..
Use barishon me kbhi akele mt rehne dena…
Door jaye kbhi to uska hath tham lena..
Tumhe waqt na de paye to naraz na hona..
Kbhi mujhe yaad kr baithe to use chod kr mt jana..
Bas use kas kr apni bahon me bhar lena…
Bhool jayega wo mujhe..
Bhool jayega ek din

%d bloggers like this: